October 2, 2012
Waqt hai kya yeh sahi
yaa karu mein intezar abhi
kahu mein kya woh sab yahi
Yaa ruku mein kuch aur abhi
Dastak yeh dil jo de raha hai
sun loo use ya mein daba do
waqt hai kya yeh sahi
yaa karu mein intezar abhi
keh raha hai dil yeh mera
keh hi dalo mein sab abhi
dooriyaan aur faasle mita dalu sabhi abhi
do pal k is safar pe kho na jaye ab hum kahi
zindagi k is safar pe saath me hum tum chale
reh na paunga mein ab aur zayda tere bin
rehguzar-e-humsafar kar na ab hum par sitam
aa mere kuch pass aa ja kuch is dil ko bata ja
na tu ab inkaar kar
waqt hai ikraar kar
Intezar mujhe bus tera
tere dil-e izhar ka
Reply